Sharirik Fitness Pane Ka Behtarin Tarika
Aajkal ki aniyamit jeevansheli ke chalte har teesre vyakti ko motapa,
madhumeh aur uccha raktchaap jaisi bimari ho jati hai. Aese mai aerobics aapki
madad kar sakta hai. Ham aapko batana chahte hai ki iski madad se aap pratimah
2 se 3 kilo motapa ghata sakte hai.
Aerobics ek tarah ka vyayam hai.
Jisko aap kabhi bhi kahi bhi kar sakti hai. Parantu yadi aap ise subah
subah karte hai to ise karna aur bhi faydemand hoga. Isko karne ke liye aapko
kahi bahar jane ki aavshyakta nahi hoti hai. Aap ghar par bhi rock music laga
kar aerobics kar sakte hai. Isse aap dance bhi sikh sakte hai aur aapka sharir
bhi fit rahega.
Aerobics karne se sharir mai oxygen ki aavshyakta bad jati hai. Iske duran
aapka blood circulation teji se hota hai. Jisse aapki pure sharir ko oxygen mil
jati hai. Kyuki aerobics karte samay chalna, doud lagana, jogging, dance, cycle
chalana, aur teraki karne va anya kai exercise hoti hai.
Aerobics aapki mastishak ke kaam karne ki shamata ko badata hai. Tatha
aapki badti umra ko bhi kam karne mai madad karta hai. Ek shodh ke mutabik ye
paya gaya hai ki jo log niyamit rup se aerobics karte hai unki yaaddasht shakti
badh jati hai. Aur dimag adhik sakriya rehta hai.
Aeribics karne se aapka sharir shape mai rehta hai. Aur bimariyo ka khatra
bhi kam hone ki sambhavna badhti hai. Jab bhi aap gym mai jakar vyayam karte
hai to aapke hath pairo mai jhunjhulahat hoti hai. Parantu aerobics mai aapko
kisi bhi tarah ka koi vajan nahi uthana padta hai aur aap ise aasani se kar
pate hai. Aur vistar se jaane ke liye padhe Aerobics in .
Aerobics : Banaye Sharir Ko Swasth aur Sudhol
Aerobics Benefits in Hindi: Iske Fayde Janiye
Vyayam ham sabhi ke liye jaruri hai. Lekin kai logo ko vyayam se boriyat
mehsus hone lagti hai. Parantu aerobics ke sath aesa nahi hai. Yeh naa keval
aapki mahilao mai ruchi badhata hai balki aapke man ko khus bhi kar deta hai.
Mahilao ko to ise karne mai bahut dilchaspi hoti hai.
Iske piche ka karan yeh hai ki isme rock music hota hai, jo ki manoranjan
ka accha sadhan hai. Sath hi aerobics karne se aapki kaafi calorie burn hoti
hai. Aapko jankar aascharya hoga lekin ek ghanta paidal chalne se kahi jayda
fayda 30 minute aerobics karne se milta hai.
Aerobics ko karne ke liye aapko jayda jaddojahat nahi karna padti hai.
Naahi kisi alag tarah ke vatavaran ki jarurat padti hai. Isse ghar ki kisi bhi
jagah mai kar sakte hai. Yeh cardio ke liye bhi ek accha vikalp hai. Aerobics
mai aapke pure sharir ka acche se vyayam ho jata hai. Agar aapko ghar se bhahar
jane ka time nahi milta hai, to aap ghar par hi music chalu karke ise kar sakte
hai.
Shodho ke anusar yeh bat bhi sabit hui hai ki aerobics se kai tarah ka ilaj
bhi kiya ja sakte hai. Jaise kai logo ko nind nahi aane ki samasya hoti hai.
Aerobics karne se iss samsya se nijat mil jati haui. Aur kai logo ke mansik
stihi ka bhi vikas hota hai.
Aisa dekha gaya hai ki jo log aerobics karte hai wo aam logo se jayda
energetic hote hai. Sathi hi aerobics
karte samay pehne jane wale kapde bhi aerobics ko karne mai ruchi badate hai.
You may also like:- Weight Gain Exercise? Vajan Badhane ke Tarike
Aerobics Bimariyo Se Suraksha De
Aerobic Exercise karnse dil aur phephdo ko majbuti milti hai. Aur
maspeshiya lachili banti hai. Aerobics sharir mai vasa aur cholesterol ko jamne
nahi deta hai. Sath hi isse blood pressure control mai rehta hai. Pratidin 150
minute vyayam karna aur uske sath thoda bahut vajan uthane se madhumeh ki
bimari ko thik karne mai sahayata milti hai.
Vajan Kam Karne mai Sahayak
Jitna adhik aap sharirik shrm karte hai utna adhik aapka sharir calorie burn
karta hai. Aap jitna adhik khane mai calorie lenge utna aapko kam bhi karna
padega. Yadi aap aesa nahi karte hai to aapka motapa aur badh jayega. Aerobics
se aap jaldi jaldi vajan ko kam sakte hai.
Aapka vajan agar aapke sharir ke mutabik jyada hai to usse aapko ucch
raktchaap, madhumeh jaisi bimari ho sakti hai. Agar aap rojana vyayam karenge
to aap ekdam fit rahenge. vyayam karne se aapko mansik pareshaniyo se bhi mukti
milti hai. Aerobics for Weight Loss bahut acchi hai.
Aerobics karne par aap apne bhojan par khud hi niyantran rakh payenge. Aur
aapne aapko swayam hi prerit kar sakte hai. Aerobics karne se aap fit rahenge
aur apne aap mai accha mehsus karenge. Isko karne se aapke andar aatmavishvas
bad jata hai. Jisse ise apni dinchrya mai shamil karne ki prerna milti hai.
Vyayam karne se charbi kam hone ke sath sath aapki manspeshiya bhi majbut
banati hai.
Aerobics mai Carrier Bhi Banaye
Aerobics karte karte agar aerobics aapke jivan ka aham hissa ban gaya hai.
Aur aapki ruchi bhi isme aa gai hai to aap isme apna carrier bhi bana sakte
hai. Yeh keval vyayam ke liye hi nahi hai. Apitu aapka carrier bhi bahut accha
ho sakta hai.
lekin dhyaan rakhe ki aap kisi aur ko sikhane se pehle iski har exercise ko
acche se jan le. Taki jis kisi ko bhi aap iski guideline de wo uske liye
faydemand sabit ho. Sath hi dhyan de ki unhe koi bimari to nahi hai. Aap
aerobics classes ko ghar par bhi khol sakti hai. Jisse aapko kahi bahar jane ki
jarurat nahi padegi.
Aerobic Exercise
Grbhavati Mahilao Ke Liye Bhi Faydemand Hai Aerobics
Maa banna kisi bhi mahila ke liye ek sukhd ehsaas ki tarah hota hai. Jab ek
aurat nai jindagi ko janam deti hai. Tab uske liye kai sari bato ka dhayan
rakha jata hai. Aerobics karne se garbhavati mahila aur uske hone wale baccha
dono swasth hote hai. Aaiye jante grabhvati mahila ke liye konsi aerobics karna
faydemand hota hai.
Swimming:- Swimming karna ek accha anubhav to hoga. Sath hi aap isse swasth
bhi rahenge. Swimming karte samay aapka sharir pani ke prati pratirodhak uttpan
karta hai. Aur garbhavastha ke douran swimming sabse accha aerobics hai. Khas
baat ye hai swimming karte samay aap kai tarah ke vayam ko kar sakte hai. Grabhvati mahila ko pani mai halke vayayam
karne ki slah di jati hai. Aur behtar hoga ki aap kisi bhi tarah ke vyayam se pehle
aap chikitsak se sampark kar le.
Walking:- Swimming ke bad walking garbhavati mahilao ke liye sabse accha
aerobics hai. Ghumna bhale hi sabse aasan hai, parntu dhyaan de ki ghumne jate
samay koi aacha juta kharid le. Jisse aapko chalte samay pareshani na aaye. Kai
bar akele ghumte samay bore ho jate hai. To aap kisi ko apne sath le ja sate
hai. Aur apni pati ko le jana to bahut hi accha vikalp hai. Garabhvati mahila
ko chahiye ki vo niymit waliking kare.
You may also like:- Majboot aur Akarshak Chest Pane ke Liye Exercise
Aerobics Ko Kaise Kiya Ja Sakta Hai?
Aerobics waise to aap kisi samay par bhi kar sakte hai. Parntu subah ke
samay karna bahut accha hota hai. Subah subah aerobics karne se aapka pura din
fresh bitta hai. 1 hafte mai kam se kam
3 bar aerobics vyayam jarur kare. Khaskar jab aapko vajan kam karna ho.
Aerobics karte samay dhyaan de ki aapki gati na to jyada tej ho na hi dhimi
ho. Aajkal naye naye aerobics vyayam ko sikhaya ja raha hai. Jisse apne lakshya
ke anusar chuna ja sakta hai.
Shuruvati dour mai ek aerobics exercise ka session 20 minute tak hona
chaiye. Tatha dheere dheere iska samay badakar kam se kam 60 minute tak le jana
chahiye. Aerobics karte samay aesi kriyaye karna chahiye. Jinko karne mai aapko
aanand milta ho. Jaise swimming, cycle chalana aadi. Boriyat dur karne ke liye
aajkal naye naye tarike sikhaye ja rahe hai.
Upar aapne jana Aerobics . Aerobics vyayam karte samay sharir ki acche se
stretching kar le. Taki aapko vyayam karte samay manspeshiyo mai jayda khichav
na aaye. Kisi bhi prakar ka sankraman hone par ya viral hone par vyayam na
kare. Aerobics karte samay yadi aapke sine mai dard ho to turant doctor ko
dikhaye.