Bahut se log fitness ko lekar bahut conscious hote hai. Aese logo ko apne
sharir ko fit rakhne ke liye alag alag vyayam ko karna pasand hota hai. Isliye
bahut se log gym jate hai. Yadi aap gym jate hai to aapka trainer aapke sharir
ko shape mai rakhne ke sare vyayam karwa dega.
Lekin yadi aap ghar bhi perfect body shape pana chahte hai to pull ups
aapke liye bilkul sahi hai. Yeh aapke biceps aur v shape sabhi par karya karta
hai. Itna hi nahi jo log vajan ghatana chahte hai unke liye bhi yeh faydemand
hai.
Yadi aap vajan ghatane ke sare tarike apna chuke hai lekin fir bhi aapko
fayda nahi mil raha hai to Pullups ka sahara le. Yeh karne mai running jitna
aasan to nahi hai lekin isse aapko aascharyajanak fayde milte hai. Aaiye vistar
se jante hai Benefits of Pull Ups
Iske liye aapke yaha ek rod hang hona jaruri hai. Yadi aapke yaha rod nahi
hai to aapko ya to gym jana padega. Ya fir yadi aapke aaspaas koi park ho aur
waha latakne ki acchi jagah ho to aap waha bhi ise kar sakte hai.
Ise karne ke liye apne kandho ki choudai se thodi dur apne hatho ko rod par
rakhe. Sath hi apne pairo ko modkar piche ek dusre mai fasa le. Ab aapko rod ko
pakadkar apne sharir ko hatho par jor dete huye upar ki aur uthana hai. Aapko
sharir ko tab tak upar karna hai jab tak aapki thodi rod se naa chhu jaye.
Iss douran aap upar ruke nahi aur jaldi se niche aa jaye. Pull ups ko karte
wakt jab aapka sharir upar ki aur jata hai tab aapko andar ki aur saans lena
hai aur jab sharir niche ki aur aata hai tab aapko bahar ki aur saans chhodna
hai.
Iss exercise ko karte wakt aapko ek baat ka bahut acche se khayal rakhna
hai. Jab aap niche ki aur aate hai tab aapka sharir latka hua nahi hona chahiye
aur na hi aapki kohniya mudi hui hona chahiye. Kehne ka tatparya yeh ki sharir
ke niche aane ke baad aapko apni takat se apne vajan ko sambhale rakhna hai.
Yadi aap push ups ke baad pull ups karte hai to aapko aur bhi jyada
behtarin parinaam dekhne ko milte hai. Pull ups ko aap kai prakar se kar sakte
hai. Jaise ki hatheliyo ko bahar ki aur se pakadne ki bajay aap andar se ise
pakad sakte hai. Aese se ise karna behad aasan bhi ho jayega.
Pull ups karte wakt kuch log apne hatho ko keval 80 feesadi hi sidha hone
dete hai aur turant hi upar ki aur chale jate hai. Lekin yeh ise karne ka sahi
tarika nahi hai. Iske liye aapke body ke back kp puri tarah failne de, tabhi
aapka sharir sahi shape mai aa payega.
Iska matlab yeh bhi nahi hai ki jab aap niche aaye to puri tarah apne hatho
ko khole. Isse to aap latak jayenge aur upar jana aapke liye bhari ho jayega.
Iske liye apne hatho ko 95 fisadi tak kholna hai.
Jin bhi logo se pull ups bilkul bhi nahi karte banta hai we log pehle thodi
close grips ke sath chin up lagaye. Yeh aapko pull ups karne ke mukabale mai
thodi aasan lagegi. Chin up mai hath kam khule hote hai aur hatheliya aapki aur
hoti hai.
1. Pull Ups Benefits
Pull Ups Exercise ek bahut hi suvidhajanak vyayam hai. Aap iss vyayam ko
kahi bhi kar sakte hai. Iske liye aapko yadi kuch chahiye to wo hai bus ek bar.
Lekin ha iske liye aap garbage mai pade metal pole ka istemal naa kare.
Aap bahar se pull up karne wala bar kharid sakte hai. Isse aapko safety ko
lekar koi issue nahi rahega.
Alag Alag Tarike Se Kar Sakte Hai
Pullups karne ka ek sabse bada fayda yeh bhi hai ki aap ise alag alag
tariko se kar sakte hai.
Ise alag alag tarike se karne ke liye aapko kisi tarah ke equipments ki
jarurat nahi hai. Bus aapko apni grip ko badalna hoga.
Aap close grip pullups , and reverse grip pull-ups dono kar sakte hai.
Yadi aapko apni peeth par target karna hai to aap grip pull-ups kare. Wahi
yadi aapko apne biceps par kaam karna hai to aap reverse grip pull-ups
(chin-up)s par kaam kare.
Anya Fayde Inhe Bhi Janiye:-
Rojana pull-ups karne se aapki workout karni ki intensity badhti hai.
Aap yadi iske 12 grips aasani se maar lete hai to aap apni intensity ko aur
badhane ke liye apne pairo mao weight laga sakte hai.
Yadi aap bodybuilder hai to aapki grip strength acchi hona chahiye.
Pull-ups aapki takat ko badhane ke liye ek perfect exercise hai.
Yeh ek Body Weight Exercise hai. Yeh aapke shoulder aur stomach par kaam
karti hai.
Upar aapne jana Benefits of Pull Ups in Hindi. Aap bhi pullup bar ko kharid
kar ise suvidhajanak jagah par lagakar aasani se pullup kar sakte hai. Jis
tarah squats aapke pairo par kaam karta hai usi tarah Pullup aapke upari sharir
par karya karta hai.