Khubsurat dikhna har kisi ko pasand hota hai, kintu chehre par moujud kale
dhabbe aur daag aapki khubsurti ko kam kar dete hai. Vaise to chehre ki uchit
dekhbhal aur kuch tariko se aap inhe thik kar sakte hai. Lekin isme wakt lagta
hai. Aese mai yadi aapko achanak kisi avsar, party ya shadi mai jana hai to aap
mayus ho jate hai.
Ham aapko bata de ki yadi aapko minto mai chehre ke daag dhabbe, jhurriya
aur kale ghere chhupana hai to concealer aapke ke liye bahut accha vikalap hai.
Yeh aapke makeup ko perfect banata hai.
Concealer jadu ki tarah aapke chehre ki rangat nikhar deta hai aur kale
ghere, jhurriya ko chipa deta hai. Iske atirikt yeh aapke murjhaye chehre ko
taro taja aur bedag banane mai madad karta hai. Bajar mai kai tarah ke
concealer uplabdh hai jiska chunav aapko apni twacha ke anusaar karna chahiye.
Yadi iska chunaav aap apni skin tone ke anusar karenge to aapka chehra
natural aur nikhra hua dikhega. Concealer to har koi istemaal kar sakta hai
parantu ise lagane ka sahi tarika sabhi ko nahi aata. Aaj hum aapko How to
Apply Concealer in Hindi ke bare mai batane ja rahe hai taki aap ise acche se
lagakar natural look paye.
Paye Aakarshak Chehra
Twacha Ki Rangat Ke Anusar Chune Concealer
Concealer bajar mai kai aakar tatha rang mai milte hai. Isko chunne ke liye
aapki twacha se milta julta concealer ko chune aur nirdharit kare ki aapki
twacha ke liye konsa jaruri hai. Sath hi yeh bhi soche ki aap aapke chehre par
kise chupana chahti hai jaise muhase, kale ghere, jhurriya ya birth mark taaki
aapka chehra jyada nikhra hua aur natural dikhe.
Yadi aap chahte hai ki aapke chehre se kale nishan, birth mark chhup jaye
to aise Face Concealer ko chune jo tinted hara ya pile rang ka ho, kyoki yeh
chehre par lal aur gehre rang ke dhabbo ko chhupane ka kaam karta hai
Yadi aap kale ghere, daag ko chhupana chahte hai to skin tone se 1 ya 2
halka shade ka chunav kare tatha iske alawa muhaso ko chupane ke liye pencil
concealer ka istemal kare. Dhyaan rakhe jab bhi aap testing kar rahe chehre par
makeup na ho aur ye bhi yaad rakhe ki hatho par testing karke kabhi concealer
na kharide.
You may also like:- Janiye Apne Skin Ke Anurup Best Foundation
Sabse Pehle Chehre Ko Saaf Kare
Jab bhi aap concealer ko chehre par lagate hai sabse pehle mild face wash
se chehre ko dho le aur moisturize lagaye. Aankho ke niche kajal ya mascara
lagane se kalapan jam jata hai Isse makeup remover se hataye.
Kale Ghere Par Lagaye
Sabse pehle concealer ko ungli ya fir brush ki sahayta se aankho ke niche
kale ghere par thapthapate huye lagaye aur ise naak tatha aankho ke aaspas
lagana shuru kare de. Concealer ko acche se aankho ke aaspas ke area mai faila
de. Yaad rakhe ise lagate samay aankho par jor se rub na kare. Kyoki aisa karne
se aankho ko hani pahuch sakti hai.
Yadi concealar ko chehre par lagate samay aankhon ke aaspas acche se na
lagaya jaye to aankhe soi soi si lagti hai. Concealer ko lash line ke base par
lagate huye sidhe water line ke base tak lagaye.
Kale Nishan aur Muhaso Par Lagane Ka Tarika
Chehre par kisi bhi tarah ke kale nishan, sun spot, birth mark ko chupane
ke liye inn par concealer ko acche se twacha ke bahar ki taraf mix karte huye
lagaye. Yadi aap cracked on look se bachna chahte hai to concealer ki patli
patli parat chehre par lagaye.
Yad rakhe ki muhase par concealar lagane ke liye brush ka istemal kare
kyuki ungliyo se lagane par bacteria failenge aur chehre par muhanse badne
lagenge.
Concealer Ka Base Jamaye
Ab aapne chehre ke daag dhabbe aur muhaso ko acche se chhipa liya hai aur
pure chehre par ek jaise mix kar liya hai. Isse pure chehre par base dene ke
liye face powder ka istemal kare taaki yeh pure chehre par acche se set ho
jaye. Jis bhi jagah par jyada concealer lagaya hai waha thoda extra powder ka
istemal kare jisse concealer pure din tika rahe.
Use of Concealer to aapne jaan liya Iske alawa yeh bhi dhyan rakhe ki yadi
aapki twacha rukhi hai to liquid concealer tatha teliya twacha ke liye powder
base concealer ka upyog karna accha hoga.
You may also like:- How to Apply Eyeliner in Hindi: Jane ise lagane ke
Stylish Tarike
Kuch Khas Baato Ka Dhyaan Rakhe
Jab bhi aap chehre par makeup lagate hai to sone jane se pehle makeup ko
homemade makeup remover se saaf kar le. Kyoki makeup ke sath sone se aapki
twacha ke romchhidra band ho jate hai aur wo khulkar saans nahi le pati hai.
Concealer ko hamesha twacha ke anusar chhune warna chehre par orange rang
ke dhabbe dikhai dene lagenge jo aapke makeup ko khrab kar sakta hai.
Kai company muft mai makeover karti hai uska fyada jarru le aur makeup karne
ki janakari sahi tarike se prapt kare.
Kale ghere ko hatane ke liye nind puri kar aur sahi samay par aur uthe
taaki kale ghere khatam ho jaye. Sath hi Aise makeup ka istemal kare jo oil
free aur muhaso ko rokne ka kaam kare.
Yadi aapki twacha sensitive hai to concealer ko khridne se pehle usse halka
sa laga kar dekhe yadi twacha mai jalan ho to usse na kharide.
Makeup hatane ke liye makeup wipe ka istemal bhi kar sakte hai kyuki
concealer acche se saaf na hone par samasya uttpan ho sakti hai.
[Upar aapne jana How to Apply Concealer . Ab jab bhi aapko kisi khas avasar
par jana ho aap acche se makeup karke khubsurat lag sakti hai.]