About us

Join us FREE!

Write and publish your ideas, thoughts, blogs or articles on any topic. You are at right place for guest blogging. Post tutorials for knowledge sharing. Upload respective images and tag your YouTube or Facebook videos with the articles and share it on various social media with simple steps. Join us Free to add your post.



Monthly trending articles on ConnectClue

Showing results for Archana mishra Remove
Han me veshya keh k bulae jati hoon
Par bhul q jate ho ijatdar gharane se
Utha k lae jati hoon
Han me veshya keh k bulae jati hoon
Har roj sej nae roj nae naveli dulhan 
Kisi bare gharane k mardo ki banai jati hoon
Fir v veshya keh k bulai jati hoon
Har rat kuwari kisi usi ijatdar gharane k 
Liye me bnai jati hoon
Bulate hain veshya mujhe par unki bahon me puri rat sej pe sulai jati hoon
Jarurt is bhukh ki har roj jism se soda krati hai
Kvi do hajar kvi pach hajar to kvi lakho me boli lgae jati hoon
Han me veshya keh k bulae jati hoon



Post updated on:  Jul 17, 2021 11:36:15 AM







Unke nam k barabr me sindur likha
Bin unke sab kuchh khud se dur likha

Unki hasi k barabar me bindiya likhi
Bin god unki dur aankho se nindiya likhi

Unki kmae se lane ko bas churiyan likhi
Lali payal jhumka bhala mere kis kam k

Bin unke sab  singar se duriyan likhi
Unki ek chhuwan se khud ko arpan likha
Unki aankho ko khud ka darpan likha

Hasta dekh mujhe wo chanchl keh gae
Meri harkat se meri jwani ko bachpan likha

Bahon k ghere ko ghar keh diya
Mujhe Sine se lga k khud ko sampan likha


Post updated on:  Jul 11, 2021 2:06:02 PM

Hmare sheher ki galiyan v
Geet unke gungunati hai

Wo hawa me unka I love you
Bol k jana 

Aaj v hawa us gunj ko sunati hai
Unki nigahon k ishare aaj v mano
Barkar hon jaise fija me

Koe palat k dekh jo jae to yaad 
Unki saanso me smati hai

Hmare sheher ki galiyan v
Geet unke gungunati hai


Post updated on:  Jul 11, 2021 2:13:07 AM

Aankhein sawan 
Man bebak patjhar sa hai

Teri yaad jheth ki dhup ban k 
Har pal har chhan jalaya krti hai

Kvi ho jae rehmat tumare mohabbat
Ka badl kvi hmare upr v garje

Ab to har mosam patjhar sa hai

Post updated on:  Apr 4, 2021 10:14:49 AM

Meri mohabbat pe unhe aaitbar na huwa

Keh gae wo mar jaoge kya Jo hme tumse pyar na huwa

Tanhai ne alfajo ko euu jhakjhoraa

Banne see pehle mahl mere gajl ka 

Awaj ne khamishi ban k dam tora

Saj gae chita kafan unki yado ki odh li

Reh gya malal unka didar na huwa

Gujra janaja Jo mohale ki gali se unke

Na dekha chehra or kuchh is kdr keh gae wo

Wo mehbbu bara badnasib hoga jisko nasib iska pyar na huwA

Post updated on:  Mar 25, 2021 11:30:08 AM

"Dahej ek sharap"

Bap ne beti de di
Log saman kya Kya mila puchhte rhe

Kisi ne na puchha mol us anmol beti ka
Sab dahej dekhne k liye jutate rhe

Maa ne sikhaya ab sasural tumhara ghar hai
Unki ijat ab tumhare sar hai

Mayeka or sasural ab beti do jgh se jane jane lagi
Fir v sasural me sab kehte kya le k aaeho Jo itna itrane lagi

Jamin bik gae ghar girwi rkh diya bap ne
Ek ek sman list bna k kharida dahej k liye

Fir v tana milta kya diya hi h tere bap ne
Kaleje ka tukra apni khushi de di 

Jo holi me rangoli deepawali me ghum ghum k diye jalaya Krti thi
Wo anmol sampatti de di

Fir v log sman Kya kya mila sadi me puchhte rhe 
Kisi ne na puchha mol us anmol beti ka
Log saman dekhne k liye jutate rhe

Post updated on:  Mar 21, 2021 10:40:52 AM

Kisi ne dost ban k luta
Kisi se dusman ban k sath chhuta
Jise jise v chaha 
Na chahte huwe v hmse rutha
Na ki hue khata ki saja katate rhe tah umar
Ek "SHAKS" ne hme itna Chaha 
Ki uski chaht dekh sabka dil Toota



Post updated on:  Mar 19, 2021 7:19:19 AM

Dost ban k kisi ne Luta
Kisi se dusman ban k sath chhuta
Jise jise v chaha 
Na chahte huwe v hmse rutha
Na ki hue khata ki saja katate rhe tah umar
Ek "SHAKS" ne hme itna Chaha 
Ki uski chaht dekh sabka dil toota

Post updated on:  Mar 19, 2021 7:15:21 AM

"Soch"

Jab Koe larka khud pasand kar le beti ko to
Maa bap ki ijat chali jati hai


Fir q usi beti ki tasvir pasand krane k liye larko  ko bhij wae jati h

Post updated on:  Mar 17, 2021 11:53:07 AM

Discover your area of interest

More recent categories

Back to top